Monday, 10 December 2012

Kon Sunta Hai Bhala Raam Kahani apni


Kon Sunta Hai Bhala Raam Kahani apni

Wohi qissay hyn wohi
baat purani apni
Kon sunta hy bhala
ram kahani apni

Har sitam-gar ko ye
hamdard samajh leti hy
Kitni khush-feham hy
kambakht jawani apni
Roz milty hyn dareechy
mein naye phool mujhy
Chorh jata hy koi roz
nishaani apni
Dushmano’n se hii
gham-e-dil ka madawa maange’n
Dosto’n Ne tou koi baat
na maani apni
Aaj phir chaand ufaq
per nahi ubhra Mohsin
Aaj phir raat na guzrey
gi suhaani apni …

No comments:

Post a Comment